ab dil mein wo ranai-e-ehsas nahin hai
ab dil meñ vo rā'nā.ī-e-ehsās nahīñ hai
kis phuul meñ varna tirī bū-bās nahīñ hai
barbād-e-mohabbat kī ye āsūda-mizājī
ab gardish-e-daurāñ kā bhī ehsās nahīñ hai
kāñToñ pe guzārī hai sar-e-bazm-e-gulistāñ
ġhunchoñ ko tabassum kī adā raas nahīñ hai
baḳhshe haiñ tirī chashm-e-'ināyat ne vo nashtar
is dil ko taḌapne kā bhī ehsās nahīñ hai
majbūrī-e-fitrat hai mire lab kā tabassum
mere dil-e-majrūh kā akkās nahīñ hai
ġhunchoñ meñ kahāñ tere tabassum kī adā.eñ
phūloñ meñ tirī nik.hat-e-anfās nahīñ hai
duniyā-e-ḳhalish ne’mat-e-ġham yaas kā 'ālam
hai kaunsī daulat jo mire paas nahīñ hai
aa jā.iye ab aap mirī ḳhalvat-e-ġham meñ
is vaqt mirā dil bhī mire paas nahīñ hai
har 'aks meñ aa jaa.e nazar 'badr' vo lekin
raushan abhī ā.īna-e-ehsās nahīñ hai
ab dil mein wo ra'nai-e-ehsas nahin hai
kis phul mein warna teri bu-bas nahin hai
barbaad-e-mohabbat ki ye aasuda-mizaji
ab gardish-e-dauran ka bhi ehsas nahin hai
kanTon pe guzari hai sar-e-bazm-e-gulistan
ghunchon ko tabassum ki ada ras nahin hai
baKHshe hain teri chashm-e-'inayat ne wo nashtar
is dil ko taDapne ka bhi ehsas nahin hai
majburi-e-fitrat hai mere lab ka tabassum
mere dil-e-majruh ka akkas nahin hai
ghunchon mein kahan tere tabassum ki adaen
phulon mein teri nikhat-e-anfas nahin hai
duniya-e-KHalish ne’mat-e-gham yas ka 'alam
hai kaunsi daulat jo mere pas nahin hai
aa jaiye ab aap meri KHalwat-e-gham mein
is waqt mera dil bhi mere pas nahin hai
har 'aks mein aa jae nazar 'badr' wo lekin
raushan abhi aaina-e-ehsas nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.