ab dua ka zor chalta hi nahin
ab duā kā zor chaltā hī nahīñ
hijr kā aaseb Taltā hī nahīñ
laakh bahlā.eñ bahaltā hī nahīñ
dil kisī karvaT sañbhaltā hī nahīñ
sar pe sūraj hai khaḌā muddat huī
din ye kaisā hai ki Dhaltā hī nahīñ
āzmā.ī to hai us ne har adā
husn kā ab sehr chaltā hī nahīñ
zindagī laa.ī hai ab kis moḌ par
ab qadam koī sañbhaltā hī nahīñ
har ghaḌī ehsās kā tūfān hai
dil kā ye aalam badaltā hī nahīñ
ḳhuun jab tak ro na le chashm-e-ufuq
sub.h-dam sūraj nikaltā hī nahīñ
vaqt hī ke mātahat sab kaam haiñ
vo jo kah de phir vo Taltā hī nahīñ
shahr-e-dil tārīk hai 'shāriq' bahut
diip armānoñ kā jaltā hī nahīñ
ab dua ka zor chalta hi nahin
hijr ka aaseb Talta hi nahin
lakh bahlaen bahalta hi nahin
dil kisi karwaT sanbhalta hi nahin
sar pe suraj hai khaDa muddat hui
din ye kaisa hai ki Dhalta hi nahin
aazmai to hai us ne har ada
husn ka ab sehr chalta hi nahin
zindagi lai hai ab kis moD par
ab qadam koi sanbhalta hi nahin
har ghaDi ehsas ka tufan hai
dil ka ye aalam badalta hi nahin
KHun jab tak ro na le chashm-e-ufuq
subh-dam suraj nikalta hi nahin
waqt hi ke matahat sab kaam hain
wo jo kah de phir wo Talta hi nahin
shahr-e-dil tarik hai 'shaariq' bahut
dip armanon ka jalta hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.