ab duaon mein nahin koi asar
ab duāoñ meñ nahīñ koī asar
be-yaqīnī kar ga.ī hai dil meñ ghar
dil kī kuchh apnī hī taujīhāt haiñ
hai muzabzab aql jin se be-ḳhabar
hazrat-e-insān ro ro mar-miTā
par muqaddar kā taġhāful al-hazar
ḳhvāhishoñ ke but salāmat rah ga.e
chand kankar maar aa.e sab magar
tīrgī apnā muqaddar to nahīñ
shab-gazīda kyoñ rahe apnī sahar
ārzūeñ ho ga.iiñ jitnī tavīl
umr utnī ho ga.ī hai muḳhtasar
aql ho dil ke tasallut meñ agar
guftugū ke sab dalā.el be-samar
chal 'hidāyat' us nagar meñ jā baseñ
hoñ sitamgar bhī jahāñ ke chārāgar
ab duaon mein nahin koi asar
be-yaqini kar gai hai dil mein ghar
dil ki kuchh apni hi taujihat hain
hai muzabzab aql jin se be-KHabar
hazrat-e-insan ro ro mar-miTa
par muqaddar ka taghaful al-hazar
KHwahishon ke but salamat rah gae
chand kankar mar aae sab magar
tirgi apna muqaddar to nahin
shab-gazida kyon rahe apni sahar
aarzuen ho gain jitni tawil
umr utni ho gai hai muKHtasar
aql ho dil ke tasallut mein agar
guftugu ke sab dalael be-samar
chal 'hidayat' us nagar mein ja basen
hon sitamgar bhi jahan ke chaaragar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.