ab du-ba-du tujhse baat howe
ab dū-ba-dū tujh se baat hove
jo kuchh bhī hamāre saath hove
bāzīcha banī huī hai duniyā
tū chaal chale to maat hove
chehre pe girā ke apnī zulfeñ
tū hukm kare to raat hove
sharmā.e tū kaifiyat se labrez
paimāna kā.enāt hove
tujh nūr-sifāt ke muqābil
hove to hamārī zaat hove
hai qaid-e-hayāt pech-dar-pech
mar jaa.eñ agar najāt hove
vo sher kaho miyāñ-'muzaffar'
ā.īna shash-jahāt hove
ab du-ba-du tujh se baat howe
jo kuchh bhi hamare sath howe
bazicha bani hui hai duniya
tu chaal chale to mat howe
chehre pe gira ke apni zulfen
tu hukm kare to raat howe
sharmae tu kaifiyat se labrez
paimana kaenat howe
tujh nur-sifat ke muqabil
howe to hamari zat howe
hai qaid-e-hayat pech-dar-pech
mar jaen agar najat howe
wo sher kaho miyan-'muzaffar'
aaina shash-jahat howe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.