ab ehtiram hi kahiye use ki Dar ke gae
ab ehtirām hī kahiye use ki Dar ke ga.e
tire dayār meñ saare savār utar ke ga.e
hai barg-o-bār kā girnā to qarz mausam kā
havā-e-tund parinde kahāñ shajar ke ga.e
ho shahr shahr ḳhamoshī kā kuchh sabab shāyad
magar vo shor-o-shaġhab bhī to bahr-o-bar ke ga.e
mirī hī jaan ke dushman haiñ shāhkār mire
mire ḳhilāf karishme mire hunar ke ga.e
har ik savāl kā dete haiñ saaf saaf javāb
vo kyā ga.e ki bahāne agar magar ke ga.e
kisī ke haath meñ patthar kahāñ vo sahn meñ peḌ
hamāre ahd se mausam shajar hajar ke ga.e
hameñ bhī kūcha-e-qātil kā thā chalan ma.alūm
isī liye to galī meñ tirī sañvar ke ga.e
to apne chāk-e-garebāñ kā aa gayā hai ḳhayāl
tamāshā dekhne jab log idhar-udhar ke ga.e
na ishq hai vo na ġhālib na āstāñ na vafā
usī ke saath hī qisse bhī sañg-o-sar ke ga.e
safar meñ der talak ham-safar thā ghar fārūq
nazar meñ duur talak aks bām-o-dar ke ga.e
ab ehtiram hi kahiye use ki Dar ke gae
tere dayar mein sare sawar utar ke gae
hai barg-o-bar ka girna to qarz mausam ka
hawa-e-tund parinde kahan shajar ke gae
ho shahr shahr KHamoshi ka kuchh sabab shayad
magar wo shor-o-shaghab bhi to bahr-o-bar ke gae
meri hi jaan ke dushman hain shahkar mere
mere KHilaf karishme mere hunar ke gae
har ek sawal ka dete hain saf saf jawab
wo kya gae ki bahane agar magar ke gae
kisi ke hath mein patthar kahan wo sahn mein peD
hamare ahd se mausam shajar hajar ke gae
hamein bhi kucha-e-qatil ka tha chalan malum
isi liye to gali mein teri sanwar ke gae
to apne chaak-e-gareban ka aa gaya hai KHayal
tamasha dekhne jab log idhar-udhar ke gae
na ishq hai wo na ghaalib na aastan na wafa
usi ke sath hi qisse bhi sang-o-sar ke gae
safar mein der talak ham-safar tha ghar faruq
nazar mein dur talak aks baam-o-dar ke gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.