ab ghaTaen chahiyen saqi na paimana mujhe
ab ghaTā.eñ chāhiyeñ saaqī na paimāna mujhe
us ke ġham ne kar diyā har ġham se begāna mujhe
ḳhatm kar denā hai ab vahshat kā afsāna mujhe
kah ga.e apnī zabāñ se vo bhī dīvāna mujhe
nahnu-aqrab kī sadā detī hai ḳhud manzil mirī
ab na ka.aba raah meñ roke na but-ḳhāna mujhe
dil meñ jab sham-e-haqīqat sho.ala-rū ho jā.egī
ḳhud jalā degī samajh kar apnā parvāna mujhe
kyā ġham-e-daurāñ kī bāteñ kyā sulūk-e-dostāñ
kyoñ sunātī hai ye duniyā merā afsāna mujhe
apnī kuTiyā kī rihā.ish par hai faḳhr-o-imbisāt
kyā lubhā.egā kisī kā qasr-e-shāhāna mujhe
is tarah ḳhush huuñ ki jaise 'shauq' sab kuchh de diyā
baḳhsh kar allāh ne ik dil faqīrāna mujhe
ab ghaTaen chahiyen saqi na paimana mujhe
us ke gham ne kar diya har gham se begana mujhe
KHatm kar dena hai ab wahshat ka afsana mujhe
kah gae apni zaban se wo bhi diwana mujhe
nahnu-aqrab ki sada deti hai KHud manzil meri
ab na kaba rah mein roke na but-KHana mujhe
dil mein jab sham-e-haqiqat shoala-ru ho jaegi
KHud jala degi samajh kar apna parwana mujhe
kya gham-e-dauran ki baaten kya suluk-e-dostan
kyon sunati hai ye duniya mera afsana mujhe
apni kuTiya ki rihaish par hai faKHr-o-imbisat
kya lubhaega kisi ka qasr-e-shahana mujhe
is tarah KHush hun ki jaise 'shauq' sab kuchh de diya
baKHsh kar allah ne ek dil faqirana mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.