ab guman hai na yaqin kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin
ab gumāñ hai na yaqīñ kuchh bhī nahīñ kuchh bhī nahīñ
āsmāñ kuchh bhī nahīñ aur zamīñ kuchh bhī nahīñ
miT gayā dil se aqīdat kā bharam ya.anī ab
us kā dar kuchh bhī nahīñ apnī jabīñ kuchh bhī nahīñ
kyoñ na yak-rañgī-e-hālāt se jī uktā.e
ab koī bazm-e-tarab daur-e-hazīñ kuchh bhī nahīñ
ab to har husn-o-nazar rañg-o-mahak sāz-o-suḳhan
laakh achchhe hoñ magar ḳhud se hasīñ kuchh bhī nahīñ
jaane kis taur hai taqsīm-e-karam allāh kā
hai kahīñ kitnā hī kuchh aur kahīñ kuchh bhī nahīñ
aas bandhtī hai zarā der use takne meñ
kaun kahtā hai sar-e-arsh-e-barīñ kuchh bhī nahīñ
aa hī jā.eñge tah-e-dām-e-ajal sab ik din
ho bhale taḳht-nashīñ ḳhāk-nashīñ kuchh bhī nahīñ
kitnā pur-shor thā anfās kā bahtā dariyā
kyoñ ye kahtā hai dam-e-bāz-pasīñ kuchh bhī nahīñ
miT gayā jism huī ruuh bhī ruḳhsat kab kī
ab yahāñ koī makāñ hai na makīñ kuchh bhī nahīñ
ḳhud se kis taur sahe shaḳhs vo duurī apnī
hai ba-juz apne 'amar' jis ke qarīñ kuchh bhī nahīñ
ab guman hai na yaqin kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin
aasman kuchh bhi nahin aur zamin kuchh bhi nahin
miT gaya dil se aqidat ka bharam yani ab
us ka dar kuchh bhi nahin apni jabin kuchh bhi nahin
kyon na yak-rangi-e-haalat se ji uktae
ab koi bazm-e-tarab daur-e-hazin kuchh bhi nahin
ab to har husn-o-nazar rang-o-mahak saz-o-suKHan
lakh achchhe hon magar KHud se hasin kuchh bhi nahin
jaane kis taur hai taqsim-e-karam allah ka
hai kahin kitna hi kuchh aur kahin kuchh bhi nahin
aas bandhti hai zara der use takne mein
kaun kahta hai sar-e-arsh-e-barin kuchh bhi nahin
aa hi jaenge tah-e-dam-e-ajal sab ek din
ho bhale taKHt-nashin KHak-nashin kuchh bhi nahin
kitna pur-shor tha anfas ka bahta dariya
kyon ye kahta hai dam-e-baz-pasin kuchh bhi nahin
miT gaya jism hui ruh bhi ruKHsat kab ki
ab yahan koi makan hai na makin kuchh bhi nahin
KHud se kis taur sahe shaKHs wo duri apni
hai ba-juz apne 'amar' jis ke qarin kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.