ab guzara nahin us shoKH ke dar par apna
ab guzārā nahīñ us shoḳh ke dar par apnā
jis ke ghar ko ye samajhte the ki hai ghar apnā
kūcha-e-dahr meñ ġhāfil na ho pāband-e-nashist
rahguzar meñ koī kartā nahīñ bistar apnā
ġham-zada uTh ga.e duniyā hī se ham āḳhir aah
zānū-e-ġham se va-lekin na uThā sar apnā
dekheñ kyā lahja-e-hastī ko ki juuñ āb-e-ravāñ
yaañ Thaharnā nazar aatā nahīñ dam bhar apnā
gar malūñ maiñ kaf-e-afsos to hañstā hai vo shoḳh
haath meñ haath kisī shaḳhs ke de kar apnā
vaa.e qismat ki rahe log bhī us paas na vo
zikr laate the kisī Dhab se jo aksar apnā
zab.h karnā thā to phir kyuuñ na mirī gardan par
zor se pher diyā aap ne ḳhanjar apnā
niim bismil hī chale chhoḌ ke tum kyuuñ pyāre
zor ye tum ne dikhāyā hameñ jauhar apnā
kyā kareñ dil jo kahe meñ ho to ham ai 'jur.at'
na kahīñ jaa.eñ ki hai sab se bhalā ghar apnā
ab guzara nahin us shoKH ke dar par apna
jis ke ghar ko ye samajhte the ki hai ghar apna
kucha-e-dahr mein ghafil na ho paband-e-nashist
rahguzar mein koi karta nahin bistar apna
gham-zada uTh gae duniya hi se hum aaKHir aah
zanu-e-gham se wa-lekin na uTha sar apna
dekhen kya lahja-e-hasti ko ki jun aab-e-rawan
yan Thaharna nazar aata nahin dam bhar apna
gar malun main kaf-e-afsos to hansta hai wo shoKH
hath mein hath kisi shaKHs ke de kar apna
wae qismat ki rahe log bhi us pas na wo
zikr late the kisi Dhab se jo aksar apna
zabh karna tha to phir kyun na meri gardan par
zor se pher diya aap ne KHanjar apna
nim bismil hi chale chhoD ke tum kyun pyare
zor ye tum ne dikhaya hamein jauhar apna
kya karen dil jo kahe mein ho to hum ai 'jurat'
na kahin jaen ki hai sab se bhala ghar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.