ab hathon mein pyar hai sahab
ab hāthoñ meñ pyaar hai sāhab
aur dil meñ talvār hai sāhab
ulTī ulTī rasmeñ le kar
ye ulTā sansār hai sāhab
majbūrī kī zanjīreñ haiñ
ishrat kā bāzār hai sāhab
sab dariyā meñ Duub rahe haiñ
sab kī nayyā paar hai sāhab
bhūke bachche jaag rahe haiñ
maañ ghar meñ bīmār hai sāhab
ham sab hī daryūza-gar haiñ
roTī kā bevpār hai sāhab
darvāze par aas lagī hai
saat samundar paar he sāhab
manzil manzil DhūñD rahā huuñ
kis jānib 'ruḳhsār' hai sāhab
ab hathon mein pyar hai sahab
aur dil mein talwar hai sahab
ulTi ulTi rasmen le kar
ye ulTa sansar hai sahab
majburi ki zanjiren hain
ishrat ka bazar hai sahab
sab dariya mein Dub rahe hain
sab ki nayya par hai sahab
bhuke bachche jag rahe hain
man ghar mein bimar hai sahab
hum sab hi daryuza-gar hain
roTi ka bewpar hai sahab
darwaze par aas lagi hai
sat samundar par he sahab
manzil manzil DhunD raha hun
kis jaanib 'ruKHsar' hai sahab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.