ab hai is darja pareshani kyon
ab hai is darja pareshānī kyoñ
dil kī zid thī na bajā maanī kyoñ
dil-e-āvāra-manash ke hamrāh
aql ho jaatī hai dīvānī kyoñ
ishq-e-sādiq kī agar qillat hai
husn kī hai ye farāvānī kyoñ
aap jab aa ga.e jān-e-raunaq
hai ba-dastūr ye vīrānī kyoñ
nafsiyāt us kī batāo 'shaukat'
fan ye is darja hai nafsānī kyoñ
ab hai is darja pareshani kyon
dil ki zid thi na baja mani kyon
dil-e-awara-manash ke hamrah
aql ho jati hai diwani kyon
ishq-e-sadiq ki agar qillat hai
husn ki hai ye farawani kyon
aap jab aa gae jaan-e-raunaq
hai ba-dastur ye virani kyon
nafsiyat us ki batao 'shaukat'
fan ye is darja hai nafsani kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.