ab hai sipah-e-‘ishq ka mujh par hisar tang
ab hai sipāh-e-‘ishq kā mujh par hisār tang
paḌtī dikhā.ī detī hai rāh-e-farār tang
ik bekalī hai hone na hone ke darmiyāñ
baḌhne lagā yaqīñ to huā e'tibār tang
is vus'at-e-ḳhayāl kī daulat ko kyā karūñ
socheñ vasī’-tar haiñ magar iḳhtiyār tang
pāñch ek log halqa-e-yārāñ meñ haiñ mire
ik-ādh se maiñ tang huuñ aur mujh se chaar tang
maiñ intihā-e-karb ke 'ālam meñ hañs paḌā
phirtī hai mujh se gardish-e-lail-o-nahār tang
ab hai sipah-e-‘ishq ka mujh par hisar tang
paDti dikhai deti hai rah-e-farar tang
ek bekali hai hone na hone ke darmiyan
baDhne laga yaqin to hua e'tibar tang
is wus'at-e-KHayal ki daulat ko kya karun
sochen wasi’-tar hain magar iKHtiyar tang
panch ek log halqa-e-yaran mein hain mere
ik-adh se main tang hun aur mujh se chaar tang
main intiha-e-karb ke 'alam mein hans paDa
phirti hai mujh se gardish-e-lail-o-nahaar tang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.