ab hai tufan muqabil to KHuda yaad aaya
ab hai tūfān muqābil to ḳhudā yaad aaya
ho gayā duur jo sāhil to ḳhudā yaad aaya
aql kī rāhnumā.ī kā bharam TuuT gayā
sāmne aa.e masā.il to ḳhudā yaad aaya
zindagī aish kī chhāñv meñ guzārī ham ne
jab na niklā koī hāsil to ḳhudā yaad aaya
kyoñ na jazbāt ke tūfāñ meñ sañbhālā ḳhud ko
rah gayā TuuT ke jab dil to ḳhudā yaad aaya
ham ne ḳhud sahl-pasandī kā shi.ār apnāyā
aa ga.e saḳht marāhil to ḳhudā yaad aaya
zindagī bhar na kiyā yaad use ham ne 'sadā'
aa ga.ī maut kī manzil to ḳhudā yaad aaya
ab hai tufan muqabil to KHuda yaad aaya
ho gaya dur jo sahil to KHuda yaad aaya
aql ki rahnumai ka bharam TuT gaya
samne aae masail to KHuda yaad aaya
zindagi aish ki chhanw mein guzari hum ne
jab na nikla koi hasil to KHuda yaad aaya
kyon na jazbaat ke tufan mein sanbhaala KHud ko
rah gaya TuT ke jab dil to KHuda yaad aaya
hum ne KHud sahl-pasandi ka shiar apnaya
aa gae saKHt marahil to KHuda yaad aaya
zindagi bhar na kiya yaad use hum ne 'sada'
aa gai maut ki manzil to KHuda yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.