ab hamein is tarah saza dena
ab hameñ is tarah sazā denā
vaqt aane pe tum daġhā denā
ko.eloñ kī tarah jalānā dil
aur phir der tak havā denā
she'r afsurda hai ka.ī din se
aap ḳhushiyoñ kā qāfiya denā
maiñ na.ī raah kā musāfir huuñ
manziloñ ko mirā pata denā
ab hamein is tarah saza dena
waqt aane pe tum dagha dena
koelon ki tarah jalana dil
aur phir der tak hawa dena
she'r afsurda hai kai din se
aap KHushiyon ka qafiya dena
main nai rah ka musafir hun
manzilon ko mera pata dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.