ab hayat-e-rang-o-bu ka hausla jata raha
ab hayāt-e-rañg-o-bū kā hausla jaatā rahā
dil gayā kyā naġhma-e-sāz-e-vafā jaatā rahā
phir jhukī tere tasavvur meñ jabīn-e-bandagī
phir ḳhayāl-e-uqda-e-roz-e-jazā jaatā rahā
zindagī thī muzmahil aur mauj-e-tūfāñ kā shabāb
is kashākash meñ ḳhayāl-e-nā-ḳhudā jaatā rahā
is qadar bhaTkā hayāt-e-nau-e-insāñ kā yaqīñ
kārvāñ ko e'timād-e-rahnumā jaatā rahā
ab hayat-e-rang-o-bu ka hausla jata raha
dil gaya kya naghma-e-saz-e-wafa jata raha
phir jhuki tere tasawwur mein jabin-e-bandagi
phir KHayal-e-uqda-e-roz-e-jaza jata raha
zindagi thi muzmahil aur mauj-e-tufan ka shabab
is kashakash mein KHayal-e-na-KHuda jata raha
is qadar bhaTka hayat-e-nau-e-insan ka yaqin
karwan ko e'timad-e-rahnuma jata raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.