ab hijr nibhane ki tarkib alag hogi
ab hijr nibhāne kī tarkīb alag hogī
dukh saare vahī hoñge tartīb alag hogī
vaise to zamāne meñ lākhoñ hī misāleñ haiñ
ham suulī chaḌheñge jab taqrīb alag hogī
kuchh yaar kī bastī meñ āñkhoñ se ujāle haiñ
jagmag ko sitāroñ kī tansīb alag hogī
ham ḳhāna-ba-doshoñ ne bas is liye hijrat kī
sochā thā ki gaaoñ kī tahzīb alag hogī
dushman ke ḳharābe se kuchh ḳhaas nahīñ hotā
apne jo kareñge ab taḳhrīb alag hogī
is pahlī mohabbat meñ 'qāsim' kī bhī sun lenā
jo ḳhud vo dilā.egā tarġhīb alag hogī
ab hijr nibhane ki tarkib alag hogi
dukh sare wahi honge tartib alag hogi
waise to zamane mein lakhon hi misalen hain
hum suli chaDhenge jab taqrib alag hogi
kuchh yar ki basti mein aankhon se ujale hain
jagmag ko sitaron ki tansib alag hogi
hum KHana-ba-doshon ne bas is liye hijrat ki
socha tha ki gaon ki tahzib alag hogi
dushman ke KHarabe se kuchh KHas nahin hota
apne jo karenge ab taKHrib alag hogi
is pahli mohabbat mein 'qasim' ki bhi sun lena
jo KHud wo dilaega targhib alag hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.