ab ijazat de ki main hun jaan-ba-lab ai zindagi
ab ijazat de ki main hun jaan-ba-lab ai zindagi
Sabihuddin Shoaiby
MORE BYSabihuddin Shoaiby
ab ijāzat de ki maiñ huuñ jāñ-ba-lab ai zindagī
maut aatī hai bas ab hadd-e-adab ai zindagī
kis liye ab tak jiyā huuñ aur kyoñ zinda rahūñ
apne hone kā batā mujh ko sabab ai zindagī
kyoñ banī hai jaan kī dushman mirī mujh ko batā
tere pīchhe maiñ bhalā bhāgā huuñ kab ai zindagī
husn daulat dost duniyā dil nazar har ek shai
chhoḌ jā.ūñgā tirī ḳhātir ye sab ai zindagī
sochtā huuñ kyā karegī mere bin tanhā bhalā
chhoḌ jā.ūñgā tujhe ik roz jab ai zindagī
ab ijazat de ki main hun jaan-ba-lab ai zindagi
maut aati hai bas ab hadd-e-adab ai zindagi
kis liye ab tak jiya hun aur kyon zinda rahun
apne hone ka bata mujh ko sabab ai zindagi
kyon bani hai jaan ki dushman meri mujh ko bata
tere pichhe main bhala bhaga hun kab ai zindagi
husn daulat dost duniya dil nazar har ek shai
chhoD jaunga teri KHatir ye sab ai zindagi
sochta hun kya karegi mere bin tanha bhala
chhoD jaunga tujhe ek roz jab ai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.