ab imtiyaz-e-jalwa-gah-o-jalwa-gar kahan
ab imtiyāz-e-jalva-gah-o-jalva-gar kahāñ
merī nazar meñ parda-e-shams-o-qamar kahāñ
vo dil kā iztirāb vo saudā-e-sar kahāñ
ab is bashar meñ koī kamāl-e-bashar kahāñ
josh-e-junūn-e-shauq meñ ab ye ḳhabar kahāñ
manzil kahāñ hai raah kahāñ rāhbar kahāñ
sadqe thī jis pe rif.at-e-arsh-e-barīñ kabhī
vo bāl-o-par vo hausla-e-bāl-o-par kahāñ
merī jabīñ ko ḳhāk-e-dar o sang-e-dar mile
un ke harīm-e-husn meñ dīvār-o-dar kahāñ
āñkheñ uThā ke dekh asīr-e-shuā tū
dekhā hai tū ne partav-e-husn-e-bashar kahāñ
hai naġhma-rez sāz-e-hayāt aaj bhī yahāñ
lekin vo gosh-e-hosh-o-dil-e-bā-ḳhabar kahāñ
mai bhī vahī hai jaam vahī mai-kada vahī
in mai-kashoñ pe mai kā magar vo asar kahāñ
miltī thī jis se ġhuncha-o-gul ko hayāt-e-nau
ab vo nasīm-e-sub.h vo bād-e-sahar kahāñ
aañsū bahā ke jān-e-masarrat kī bazm meñ
tū ne Dubo diyā mujhe ai chashm-e-tar kahāñ
vo farsh-e-ḳhāk aur kahāñ ye maqām-e-quds
laa.e mujhe kahāñ se mire bāl-o-par kahāñ
ab to har ek ḳhair hai 'amjad' asīr-e-shar
is daur-e-ġham meñ ma.arka-e-ḳhair-o-shar kahāñ
ab imtiyaz-e-jalwa-gah-o-jalwa-gar kahan
meri nazar mein parda-e-shams-o-qamar kahan
wo dil ka iztirab wo sauda-e-sar kahan
ab is bashar mein koi kamal-e-bashar kahan
josh-e-junun-e-shauq mein ab ye KHabar kahan
manzil kahan hai rah kahan rahbar kahan
sadqe thi jis pe rifat-e-arsh-e-barin kabhi
wo baal-o-par wo hausla-e-baal-o-par kahan
meri jabin ko KHak-e-dar o sang-e-dar mile
un ke harim-e-husn mein diwar-o-dar kahan
aankhen uTha ke dekh asir-e-shua tu
dekha hai tu ne partaw-e-husn-e-bashar kahan
hai naghma-rez saz-e-hayat aaj bhi yahan
lekin wo gosh-e-hosh-o-dil-e-ba-KHabar kahan
mai bhi wahi hai jam wahi mai-kada wahi
in mai-kashon pe mai ka magar wo asar kahan
milti thi jis se ghuncha-o-gul ko hayat-e-nau
ab wo nasim-e-subh wo baad-e-sahar kahan
aansu baha ke jaan-e-masarrat ki bazm mein
tu ne Dubo diya mujhe ai chashm-e-tar kahan
wo farsh-e-KHak aur kahan ye maqam-e-quds
lae mujhe kahan se mere baal-o-par kahan
ab to har ek KHair hai 'amjad' asir-e-shar
is daur-e-gham mein marka-e-KHair-o-shar kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.