ab intizar ke mausam udas karte nahin
ab intizār ke mausam udaas karte nahīñ
ajiib hai ki hameñ ġham udaas karte nahīñ
udaas hone kā ham ko salīqa aatā hai
udāsiyoñ ko kabhī ham udaas karte nahīñ
ye dil to kahtā hai ab āzmā.eñ ḳhushiyoñ ko
bahut dinoñ se ye mātam udaas karte nahīñ
kiyā thā tum se jo va.ada nibhā rahe haiñ ham
tumhārī jaan ko jānam udaas karte nahīñ
ab intizar ke mausam udas karte nahin
ajib hai ki hamein gham udas karte nahin
udas hone ka hum ko saliqa aata hai
udasiyon ko kabhi hum udas karte nahin
ye dil to kahta hai ab aazmaen KHushiyon ko
bahut dinon se ye matam udas karte nahin
kiya tha tum se jo wada nibha rahe hain hum
tumhaari jaan ko jaanam udas karte nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.