ab is se kya tumhein tha ya umid-war na tha
ab is se kyā tumheñ thā yā umīd-vār na thā
tumhāre vasl kā tum se to ḳhvāst-gār na thā
sharāb piite hī vo khul ga.e vo khul khele
shab-e-visāl meñ kuchh lutf-e-intizār na thā
na jhapkī jab shab-e-va.ada palak to ham samjhe
ye koī aur balā thī ye intizār na thā
vo tiir aap ke tarkash meñ kaun sā niklā
jo be-chale bhī hamāre jigar ke paar na thā
vo mar gayā hai to kyā hai hameñ bhī marnā hai
ḳhudā gavāh hai 'beḳhud' vo sharāb-ḳhvār na thā
ab is se kya tumhein tha ya umid-war na tha
tumhaare wasl ka tum se to KHwast-gar na tha
sharab pite hi wo khul gae wo khul khele
shab-e-visal mein kuchh lutf-e-intizar na tha
na jhapki jab shab-e-wada palak to hum samjhe
ye koi aur bala thi ye intizar na tha
wo tir aap ke tarkash mein kaun sa nikla
jo be-chale bhi hamare jigar ke par na tha
wo mar gaya hai to kya hai hamein bhi marna hai
KHuda gawah hai 'beKHud' wo sharab-KHwar na tha
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 160)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.