ab ishq raha na wo junun hai
ab ishq rahā na vo junūñ hai
tūfān ke baad kā sukūñ hai
ehsās ko zid hai dard-e-dil se
kam ho to ye jāniye fuzūñ hai
raas aa.ī hai ishq ko zabūnī
jis haal meñ dekhiye zubūñ hai
baaqī na jigar rahā na ab dil
ashkoñ meñ hunūz rañg-e-ḳhūñ hai
iz.hār hai dard-e-dil kā 'bismil'
ilhām na shā.irī fusūñ hai
ab ishq raha na wo junun hai
tufan ke baad ka sukun hai
ehsas ko zid hai dard-e-dil se
kam ho to ye jaaniye fuzun hai
ras aai hai ishq ko zabuni
jis haal mein dekhiye zubun hai
baqi na jigar raha na ab dil
ashkon mein hunuz rang-e-KHun hai
izhaar hai dard-e-dil ka 'bismil'
ilham na shairi fusun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.