Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab jahan hun wahan se hilunga nahin main milunga nahin

Zahoor Minhas

ab jahan hun wahan se hilunga nahin main milunga nahin

Zahoor Minhas

MORE BYZahoor Minhas

    ab jahāñ huuñ vahāñ se hilūñgā nahīñ maiñ milūñgā nahīñ

    nā-shagufta huuñ ya.anī khilūñgā nahīñ maiñ milūñgā nahīñ

    ye jo apne ta.iiñ ek shahkār huuñ ye maiñ bekār huuñ

    aur tār-e-baqā se silūñgā nahīñ maiñ milūñgā nahīñ

    log pūchheñge merā charāgāhoñ se lekin maiñ jaate samay

    raah ke peḌ se bhī milūñgā nahīñ maiñ milūñgā nahīñ

    mere tan par havas taheñ ban ga.iiñ aur ab jab talak

    ishq ke nāḳhunoñ se chhilūñgā nahīñ maiñ milūñgā nahīñ

    vāqif-e-lazzat-e-vasl huuñ to sahī hai yahī zindagī

    par hasīnoñ ehsān lūñgā nahīñ maiñ milūñgā nahīñ

    ab jahan hun wahan se hilunga nahin main milunga nahin

    na-shagufta hun yani khilunga nahin main milunga nahin

    ye jo apne tain ek shahkar hun ye main bekar hun

    aur tar-e-baqa se silunga nahin main milunga nahin

    log puchhenge mera charagahon se lekin main jate samay

    rah ke peD se bhi milunga nahin main milunga nahin

    mere tan par hawas ki tahen ban gain aur ab jab talak

    ishq ke naKHunon se chhilunga nahin main milunga nahin

    waqif-e-lazzat-e-wasl hun to sahi hai yahi zindagi

    par hasinon ka ehsan lunga nahin main milunga nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now