ab jahan hun wahan se hilunga nahin main milunga nahin
ab jahāñ huuñ vahāñ se hilūñgā nahīñ maiñ milūñgā nahīñ
nā-shagufta huuñ ya.anī khilūñgā nahīñ maiñ milūñgā nahīñ
ye jo apne ta.iiñ ek shahkār huuñ ye maiñ be-kār huuñ
aur tār-e-baqā se silūñgā nahīñ maiñ milūñgā nahīñ
log pūchheñge merā charāgāhoñ se par maiñ jaate samay
raah ke peḌ se bhī milūñgā nahīñ maiñ milūñgā nahīñ
mere tan par havas kī taheñ ban ga.iiñ aur ab jab talak
ishq ke nāḳhunoñ se chhilūñgā nahīñ maiñ milūñgā nahīñ
vāqif-e-lazzat-e-vasl huuñ to sahī hai yahī zindagī
par hasīnoñ kā ehsān lūñgā nahīñ maiñ milūñgā nahīñ
ab jahan hun wahan se hilunga nahin main milunga nahin
na-shagufta hun yani khilunga nahin main milunga nahin
ye jo apne tain ek shahkar hun ye main be-kar hun
aur tar-e-baqa se silunga nahin main milunga nahin
log puchhenge mera charagahon se par main jate samay
rah ke peD se bhi milunga nahin main milunga nahin
mere tan par hawas ki tahen ban gain aur ab jab talak
ishq ke naKHunon se chhilunga nahin main milunga nahin
waqif-e-lazzat-e-wasl hun to sahi hai yahi zindagi
par hasinon ka ehsan lunga nahin main milunga nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.