ab jald ye be-abi-e-mausam ki bala jae
ab jald ye be-ābī-e-mausam kī balā jaa.e
ashjār kī fariyād se sailāb na aa jaa.e
itnā bhī lahū ko na junūñ-ḳhez kiyā jaa.e
phūTe rag-e-gul se to rag-e-sañg meñ aa jaa.e
bārish hai to aisī ki laraz jaa.e zamīñ bhī
paanī hai ki miTTī ko bhī talvār banā jaa.e
log aise ki siine kī kapaT shīshe pe likh deñ
ham aise ki patthar ko bhī patthar na kahā jaa.e
itnā bhī na ho sehn ki dar tak maiñ pahuñch kar
dar kholūñ to darvesh-e-duā-go hī chalā jaa.e
apnā hī lahū qātil-e-tahzīb-o-nasab hai
is shahr meñ kis kis se ḳhabar-dār rahā jaa.e
ab jald ye be-abi-e-mausam ki bala jae
ashjar ki fariyaad se sailab na aa jae
itna bhi lahu ko na junun-KHez kiya jae
phuTe rag-e-gul se to rag-e-sang mein aa jae
barish hai to aisi ki laraz jae zamin bhi
pani hai ki miTTi ko bhi talwar bana jae
log aise ki sine ki kapaT shishe pe likh den
hum aise ki patthar ko bhi patthar na kaha jae
itna bhi na ho sehn ki dar tak main pahunch kar
dar kholun to darwesh-e-dua-go hi chala jae
apna hi lahu qatil-e-tahzib-o-nasab hai
is shahr mein kis kis se KHabar-dar raha jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.