ab jo barsa abr-e-gham aisa kabhi barsa nahin
ab jo barsā abr-e-ġham aisā kabhī barsā nahīñ
dil bhī Duubā saath meñ ghar hī faqat Duubā nahīñ
ai thake-māñde musāfir jā yahāñ se duur jā
vaqt vo dīvār hai jis kā kahīñ saayā nahīñ
kyā tamāsha hai ki ab har shaḳhs ko ye vahm hai
sab se maiñ ūñchā huuñ mujh se koī bhī ūñchā nahīñ
ab jo pahchāne to kyūñkar koī pahchāne mujhe
baat itnī hai ki ye chehra mirā chehra nahīñ
qaid kar letī hai mujh ko kyoñ chaman kī har kalī
maiñ faqat rang-e-chaman huuñ bū-e-āvāra nahīñ
dīda-o-dil ke darīche band kar so jā 'shamīm'
rang-o-bū kā aaj bhī jhoñkā idhar aaya nahīñ
ab jo barsa abr-e-gham aisa kabhi barsa nahin
dil bhi Duba sath mein ghar hi faqat Duba nahin
ai thake-mande musafir ja yahan se dur ja
waqt wo diwar hai jis ka kahin saya nahin
kya tamasha hai ki ab har shaKHs ko ye wahm hai
sab se main uncha hun mujh se koi bhi uncha nahin
ab jo pahchane to kyunkar koi pahchane mujhe
baat itni hai ki ye chehra mera chehra nahin
qaid kar leti hai mujh ko kyon chaman ki har kali
main faqat rang-e-chaman hun bu-e-awara nahin
dida-o-dil ke dariche band kar so ja 'shamim'
rang-o-bu ka aaj bhi jhonka idhar aaya nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.