ab jo bikhre bhi to chamkenge sitaron ki tarah
ab jo bikhre bhī to chamkeñge sitāroñ kī tarah
ik numā.ish hī sahī ā.īna-pāroñ kī tarah
sard jhoñke kī himāqat pe vo Daalī kī lachak
mujh ko lagtī tire ma.asūm ishāroñ kī tarah
yaad aate haiñ jo barsāt meñ bhīge lamhe
zaḳhm rah-rah ke damakte haiñ sharāroñ kī tarah
tere gesū tire abrū tirī pur-shoḳh nazar
merī ġhazloñ meñ chamakte haiñ sitāroñ kī tarah
muntazir koī mile mujh ko bhī pyāsī dhartī
maiñ bhī dil khol ke barsūñgā bahāroñ kī tarah
us kī yādoñ se hai raushan mire dil kī bastī
mere mahbūb ke pur-nūr dayāroñ kī tarah
ziist guzrī hai mirī ġham ke thapeḌe sah kar
kisī sāgar ke sahanshīl kināroñ kī tarah
jab tasavvur meñ ubhartā hai vo ḳhushbū sā badan
dil-e-vīrān sañvartā hai nazāroñ kī tarah
kabhī bhūle se mirā dard bharā dil na chhuā
yuuñ dikhāve ko to miltā hai vo pyāroñ kī tarah
yuuñ to aate haiñ mirī samt ka.ī ġham ke bhañvar
par duā.eñ haiñ mire gird hisāroñ kī tarah
ab jo bikhre bhi to chamkenge sitaron ki tarah
ek numaish hi sahi aaina-paron ki tarah
sard jhonke ki himaqat pe wo Dali ki lachak
mujh ko lagti tere masum ishaaron ki tarah
yaad aate hain jo barsat mein bhige lamhe
zaKHm rah-rah ke damakte hain shararon ki tarah
tere gesu tere abru teri pur-shoKH nazar
meri ghazlon mein chamakte hain sitaron ki tarah
muntazir koi mile mujh ko bhi pyasi dharti
main bhi dil khol ke barsunga bahaaron ki tarah
us ki yaadon se hai raushan mere dil ki basti
mere mahbub ke pur-nur dayaron ki tarah
zist guzri hai meri gham ke thapeDe sah kar
kisi sagar ke sahanshil kinaron ki tarah
jab tasawwur mein ubharta hai wo KHushbu sa badan
dil-e-viran sanwarta hai nazaron ki tarah
kabhi bhule se mera dard bhara dil na chhua
yun dikhawe ko to milta hai wo pyaron ki tarah
yun to aate hain meri samt kai gham ke bhanwar
par duaen hain mere gird hisaron ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.