ab jo dekha to dastan se dur
ab jo dekhā to dāstān se duur
uTh rahā thā dhuāñ chaTān se duur
dekhnā kyā makān kī jānib
ab yahāñ baiTh kar makān se duur
hijr kis aañkh kā sitāra hai
raqs kartā hai āsmān se duur
zindagī kā koī hadaf to banā
dil koī said kar kamān se duur
jāntā huuñ zamīn kis kī hai
baiTh jaatā huuñ sā.ebān se duur
dil vo ātish-kada ki raushan hai
shahr-e-shīrāz o shervān se duur
laḌ rahā huuñ 'rasā' qabīla-vār
'mīr'-o-'mirzā' ke ḳhāndān se duur
ab jo dekha to dastan se dur
uTh raha tha dhuan chaTan se dur
dekhna kya makan ki jaanib
ab yahan baiTh kar makan se dur
hijr kis aankh ka sitara hai
raqs karta hai aasman se dur
zindagi ka koi hadaf to bana
dil koi said kar kaman se dur
jaanta hun zamin kis ki hai
baiTh jata hun saeban se dur
dil wo aatish-kada ki raushan hai
shahr-e-shiraaz o sherwan se dur
laD raha hun 'rasa' qabila-war
'mir'-o-'mirza' ke KHandan se dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.