ab jo KHwab-e-giran se jage hain
ab jo ḳhvāb-e-girāñ se jaage haiñ
paañv sar par rakhe haiñ bhāge haiñ
ḳhār-e-hasrat bhare haiñ āñkhoñ meñ
paañv meñ ḳhvāhishoñ ke taage haiñ
ḳhauf hai vasvase haiñ lekin shukr
azm-o-himmat jo apne aage haiñ
raḳht-e-ummīd hai safar kī jaañ
sāz-o-sāmāñ to kachche dhāge haiñ
tum se milnā to ik bahāna hai
ham to dar-asl ḳhud se bhāge haiñ
laag laage nahīñ lagī 'ahmad'
ham jo so.e to bhaag jaage haiñ
ab jo KHwab-e-giran se jage hain
panw sar par rakhe hain bhage hain
KHar-e-hasrat bhare hain aankhon mein
panw mein KHwahishon ke tage hain
KHauf hai waswase hain lekin shukr
azm-o-himmat jo apne aage hain
raKHt-e-ummid hai safar ki jaan
saz-o-saman to kachche dhage hain
tum se milna to ek bahana hai
hum to dar-asl KHud se bhage hain
lag lage nahin lagi 'ahmad'
hum jo soe to bhag jage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.