ab jo mil jao to kami na karun
ab jo mil jaao to kamī na karūñ
shikva kaisā ki baat bhī na karūñ
kyā ḳhabar kaise naqsh ubhar aa.eñ
abhī siine meñ raushnī na karūñ
hai vafā shart un kī baat rahe
apne dil kī kahī sunī na karūñ
zikr un kā bhī chhiḌ na jaa.e kahīñ
chup rahūñ apnā zikr bhī na karūñ
zindagī hai to hai ḳhayāl un kā
ḳhair chāhūñ to yaad bhī na karūñ
un kā milnā muhāl hai lekin
apne dil se to dushmanī na karūñ
kitnī suunī hai rāh-e-zīst 'zafar'
kyā karūñ un ko yaad hī na karūñ
ab jo mil jao to kami na karun
shikwa kaisa ki baat bhi na karun
kya KHabar kaise naqsh ubhar aaen
abhi sine mein raushni na karun
hai wafa shart un ki baat rahe
apne dil ki kahi suni na karun
zikr un ka bhi chhiD na jae kahin
chup rahun apna zikr bhi na karun
zindagi hai to hai KHayal un ka
KHair chahun to yaad bhi na karun
un ka milna muhaal hai lekin
apne dil se to dushmani na karun
kitni suni hai rah-e-zist 'zafar'
kya karun un ko yaad hi na karun
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 128)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.