ab jo pairon pe hum khaDe hue hain
ab jo pairoñ pe ham khaḌe hue haiñ
ek duniyā se ham laḌe hue haiñ
dekh ham ko kahāniyāñ na sunā
ham isī shahr meñ baḌe hue haiñ
ḳhud ko barbād kar liyā ham ne
apnī zid par magar aḌe hue haiñ
koī to ham ko thāmne aa.e
koī dekhe ki ham khaḌe hue haiñ
ab jo pairon pe hum khaDe hue hain
ek duniya se hum laDe hue hain
dekh hum ko kahaniyan na suna
hum isi shahr mein baDe hue hain
KHud ko barbaad kar liya hum ne
apni zid par magar aDe hue hain
koi to hum ko thamne aae
koi dekhe ki hum khaDe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.