ab junun ke rat-jage KHirad mein aa gae
ab junūñ ke rat-jage ḳhirad meñ aa ga.e
saare ḳhvāb raushnī kī zad meñ aa ga.e
log pā ga.e haqīqateñ qayās meñ
ham yaqīn se gumāñ kī had meñ aa ga.e
'ilm ke murāqabe haiñ ġhair-mustanad
jehl ke munāzare sanad meñ aa ga.e
lafz-e-fat.h ke jo tarjumān the kabhī
kyuuñ simaT ke harf-e-al-madad meñ aa ga.e
ik panāh kyā malī ki husn-o-ishq ke
sab gunāh nekiyoñ kī mad meñ aa ga.e
dil kī tah meñ 'āzim' un kī yaad rah ga.ī
ġham ubhar ke mere ḳhāl-o-ḳhad meñ aa ga.e
ab junun ke rat-jage KHirad mein aa gae
sare KHwab raushni ki zad mein aa gae
log pa gae haqiqaten qayas mein
hum yaqin se guman ki had mein aa gae
'ilm ke muraqabe hain ghair-mustanad
jehl ke munazare sanad mein aa gae
lafz-e-fath ke jo tarjuman the kabhi
kyun simaT ke harf-e-al-madad mein aa gae
ek panah kya mali ki husn-o-ishq ke
sab gunah nekiyon ki mad mein aa gae
dil ki tah mein 'azim' un ki yaad rah gai
gham ubhar ke mere KHal-o-KHad mein aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.