ab kahan dard jism-o-jaan mein hai
ab kahāñ dard jism-o-jān meñ hai
dafn hai dil badan dukān meñ hai
din Dhale roz yuuñ lage jaise
koī mujhsā mire makān meñ hai
dil kā kuchh bhī patā nahīñ chaltā
haath meñ hai ki āsmān meñ hai
chhāñv ke pal jalā diye saare
uf vo sūraj jo sā.ebān meñ hai
kyuuñ na tashbīh phuul ho us kī
vo jo ḳhushbū sā dāstān meñ hai
ik savāl aur 'arsh' baaqī hai
āḳhirī tiir bhī kamān meñ hai
ab kahan dard jism-o-jaan mein hai
dafn hai dil badan dukan mein hai
din Dhale roz yun lage jaise
koi mujhsa mere makan mein hai
dil ka kuchh bhi pata nahin chalta
hath mein hai ki aasman mein hai
chhanw ke pal jala diye sare
uf wo suraj jo saeban mein hai
kyun na tashbih phul ho us ki
wo jo KHushbu sa dastan mein hai
ek sawal aur 'arsh' baqi hai
aaKHiri tir bhi kaman mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.