Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab kahan jaunga uTh kar main yahin rahne de

Ahmad Irfan

ab kahan jaunga uTh kar main yahin rahne de

Ahmad Irfan

MORE BYAhmad Irfan

    ab kahāñ jā.ūñgā uTh kar maiñ yahīñ rahne de

    vahshat-e-ḳhāna-badoshī kahīñ rahne de

    ho ga.ī shaah ko ab maat ki maiñ kahtā rahā

    are rahne de piyāde ko vahīñ rahne de

    le ke saktā hai sar se mirā charḳh-e-kuhan

    par mire pairoñ tale merī zamīñ rahne de

    tark-e-hijrat irāda bhī to kar saktā hai

    kaun Thahregā yahāñ dil ke makīñ rahne de

    kaj-kulāhī na mujhe taḳht-nashīnī se ġharaz

    sar-basar ḳhaak huuñ aur ḳhāk-nashīñ rahne de

    ham ki darvesh haiñ aur ishq se matlab hai hameñ

    husn ko apnī jagah chīñ-ba-jabīñ rahne de

    ishq phir aur parī-zād se ahmad-'irfān'

    dev patthar banā de na kahīñ rahne de

    ab kahan jaunga uTh kar main yahin rahne de

    wahshat-e-KHana-badoshi tu kahin rahne de

    ho gai shah ko ab mat ki main kahta raha

    are rahne de piyaade ko wahin rahne de

    le ke ja sakta hai tu sar se mera charKH-e-kuhan

    par mere pairon tale meri zamin rahne de

    tark-e-hijrat ka irada bhi to kar sakta hai

    kaun Thahrega yahan dil ke makin rahne de

    kaj-kulahi na mujhe taKHt-nashini se gharaz

    sar-basar KHak hun aur KHak-nashin rahne de

    hum ki darwesh hain aur ishq se matlab hai hamein

    husn ko apni jagah chin-ba-jabin rahne de

    ishq phir aur pari-zad se ahmad-'irfan'

    dew patthar ka bana de na kahin rahne de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now