ab kahan lutf-e-bahaaran ke zamane baqi
ab kahāñ lutf-e-bahārāñ ke zamāne baaqī
ab kahāñ sausan o sumbul ke fasāne baaqī
ek kaifiyyat-e-hasrat hai ufuq tak taarī
ab kahāñ mutrib-e-bulbul ke tarāne baaqī
ab kisī samt bhī lahrātī nahīñ zulf-e-shamīm
mushk-o-ambar ke kahāñ ab vo Thikāne baaqī
ḳhaak har raah meñ āvāra hai vahshat ban kar
ab masarrat ke kahāñ sabz ḳhazāne baaqī
ab tasavvur meñ kahāñ husn kā raqs-e-paiham
ab kahāñ nazroñ ke bebāk nishāne baaqī
dil hai ik ḳhāna-e-barbād kī sūrat ḳhāmosh
ab tamannā ke kahāñ ḳhvāb suhāne baaqī
ujle ujle se shab-o-roz kahāñ ab 'az.har'
un shab-o-roz ke haiñ ab to fasāne baaqī
ab kahan lutf-e-bahaaran ke zamane baqi
ab kahan sausan o sumbul ke fasane baqi
ek kaifiyyat-e-hasrat hai ufuq tak tari
ab kahan mutrib-e-bulbul ke tarane baqi
ab kisi samt bhi lahraati nahin zulf-e-shamim
mushk-o-ambar ke kahan ab wo Thikane baqi
KHak har rah mein aawara hai wahshat ban kar
ab masarrat ke kahan sabz KHazane baqi
ab tasawwur mein kahan husn ka raqs-e-paiham
ab kahan nazron ke bebak nishane baqi
dil hai ek KHana-e-barbaad ki surat KHamosh
ab tamanna ke kahan KHwab suhane baqi
ujle ujle se shab-o-roz kahan ab 'azhar'
un shab-o-roz ke hain ab to fasane baqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.