ab kaise rafu pairahan ho is aawara diwane ka
ab kaise rafū pairāhan ho is āvāra dīvāne kā
kyā jaane garebāñ hogā kahāñ dāman se baḌā vīrāne kā
vaa.iz na sunegā saaqī kī lālach hai use paimāne kā
mujh se hoñ agar aisī bāteñ maiñ naam na luuñ maiḳhāne kā
kyā jaane kahegā kyā aa kar hai daur yahāñ paimāne kā
allāh kare vaa.iz ko kabhī rasta na mile maiḳhāne kā
turbat se lagā kartā mahshar sunte haiñ koī miltā hī nahīñ
manzil hai baḌī ābādī kī rasta hai baḌā vīrāne kā
jannat meñ piyegā kyūñkar ai shaiḳh yahāñ gar mashq na kī
ab maane na maane terī ḳhushī hai kaam mirā samjhāne kā
jī chāhā jahāñ par ro diyā hai paañv meñ chubhe aur TuuT ga.e
ḳhāroñ ne bhī dil meñ soch liyā hai kaun yahāñ dīvāne kā
haiñ tañg tirī mai-kash saaqī ye paḌh ke namāz aatā hai yahīñ
yā shaiḳh kī tauba tuḌvā de yā vaqt badal maiḳhāne kā
har sub.h ko aah sar se dil-e-shādāb jarāhat rahtā hai
gar yuuñ hī rahegī bād-e-sahar ye phuul nahīñ murjhāne kā
bahke hue vaa.iz se mil kar kyuuñ baiThe hue ho mai-ḳhvāro
gar toḌ de ye sab jām-o-subū kyā kar loge dīvāne kā
ahbāb ye tum kahte ho bajā vo bazm-e-adū meñ baiThe haiñ
vo aa.eñ na aa.eñ un kī ḳhushī charchā to karo mar jaane kā
us vaqt khulegā his ko bhī ehsās-e-mohabbat hai ki nahīñ
jab sham.a sar-e-mahfil ro kar muñh dekhegī parvāne kā
bādal ke añdhere meñ chhup kar maiḳhāne meñ aa baiThā hai
gar chāñdnī ho jā.egī 'qamar' ye shaiḳh nahīñ phir jaane kā
ab kaise rafu pairahan ho is aawara diwane ka
kya jaane gareban hoga kahan daman se baDa virane ka
waiz na sunega saqi ki lalach hai use paimane ka
mujh se hon agar aisi baaten main nam na lun maiKHane ka
kya jaane kahega kya aa kar hai daur yahan paimane ka
allah kare waiz ko kabhi rasta na mile maiKHane ka
turbat se laga karta mahshar sunte hain koi milta hi nahin
manzil hai baDi aabaadi ki rasta hai baDa virane ka
jannat mein piyega kyunkar ai shaiKH yahan gar mashq na ki
ab mane na mane teri KHushi hai kaam mera samjhane ka
ji chaha jahan par ro diya hai panw mein chubhe aur TuT gae
KHaron ne bhi dil mein soch liya hai kaun yahan diwane ka
hain tang teri mai-kash saqi ye paDh ke namaz aata hai yahin
ya shaiKH ki tauba tuDwa de ya waqt badal maiKHane ka
har subh ko aah sar se dil-e-shadab jarahat rahta hai
gar yun hi rahegi baad-e-sahar ye phul nahin murjhane ka
bahke hue waiz se mil kar kyun baiThe hue ho mai-KHwaro
gar toD de ye sab jam-o-subu kya kar loge diwane ka
ahbab ye tum kahte ho baja wo bazm-e-adu mein baiThe hain
wo aaen na aaen un ki KHushi charcha to karo mar jaane ka
us waqt khulega his ko bhi ehsas-e-mohabbat hai ki nahin
jab shama sar-e-mahfil ro kar munh dekhegi parwane ka
baadal ke andhere mein chhup kar maiKHane mein aa baiTha hai
gar chandni ho jaegi 'qamar' ye shaiKH nahin phir jaane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.