ab ke barsat mein pani aae
ab ke barsāt meñ paanī aa.e
ḳhushk dariyā meñ ravānī aa.e
har ghaTā kaalī ho kājal jaisī
rañg har khet pe dhānī aa.e
phuul sā ruup liye din nikle
raat aa.e to suhānī aa.e
dhuup aa.e to suhānī aa.e
chāñdnī le ke javānī aa.e
sher kahte haiñ yūñhī se 'alvī'
kyā hameñ baat banānī aa.e
ab ke barsat mein pani aae
KHushk dariya mein rawani aae
har ghaTa kali ho kajal jaisi
rang har khet pe dhani aae
phul sa rup liye din nikle
raat aae to suhani aae
dhup aae to suhani aae
chandni le ke jawani aae
sher kahte hain yunhi se 'alwi'
kya hamein baat banani aae
- Book : Rat Idhar Udhar Roashan (Pg. 290)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.