ab ke hum ishq mein ujlat bhi nahin kar sakte
ab ke ham ishq meñ ujlat bhī nahīñ kar sakte
aur tire naam kī shohrat bhī nahīñ kar sakte
ek ye dil hai jo nafrat kā nahīñ hai qaa.il
aur ham tujh se mohabbat bhī nahīñ kar sakte
chāk-dāman hai magar lab pe hañsī hai taarī
kyā sitam hai ki shikāyat bhī nahīñ kar sakte
mas.ala ye hai ki jiine nahīñ detī duurī
aur ab ham tirī sohbat bhī nahīñ kar sakte
jānte haiñ ki ye raste bhī judā haiñ lekin
yaar ham ḳhud ko hidāyat bhī nahīñ kar sakte
ab 'navāz' un se maiñ imkān-e-vafā kyā rakkhūñ
jo dikhāve kī mohabbat bhī nahīñ kar sakte
ab ke hum ishq mein ujlat bhi nahin kar sakte
aur tere nam ki shohrat bhi nahin kar sakte
ek ye dil hai jo nafrat ka nahin hai qail
aur hum tujh se mohabbat bhi nahin kar sakte
chaak-daman hai magar lab pe hansi hai tari
kya sitam hai ki shikayat bhi nahin kar sakte
masala ye hai ki jine nahin deti duri
aur ab hum teri sohbat bhi nahin kar sakte
jaante hain ki ye raste bhi juda hain lekin
yar hum KHud ko hidayat bhi nahin kar sakte
ab 'nawaz' un se main imkan-e-wafa kya rakkhun
jo dikhawe ki mohabbat bhi nahin kar sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.