ab ke husn-e-nazar kitabon par
ab ke husn-e-nazar kitāboñ par
chand satreñ haiñ par kitāboñ par
lafz ban ke vo ashk mahke sub.h
jo gire raat bhar kitāboñ par
maiñ suhūlat se kaaT aa.ī huuñ
zindagī kā safar kitāboñ par
ruuh lafzoñ se phūñkte ho tum
ik ġhazal chāra-gar kitāboñ par
tere va.adoñ par e'tibār aayā
us se bhī peshtar kitāboñ par
koī kāñdhā kahāñ mayassar thā
rakh diyā maiñ ne sar kitāboñ par
ab ke husn-e-nazar kitabon par
chand satren hain par kitabon par
lafz ban ke wo ashk mahke subh
jo gire raat bhar kitabon par
main suhulat se kaT aai hun
zindagi ka safar kitabon par
ruh lafzon se phunkte ho tum
ek ghazal chaara-gar kitabon par
tere wadon par e'tibar aaya
us se bhi peshtar kitabon par
koi kandha kahan mayassar tha
rakh diya main ne sar kitabon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.