ab ke is tarah tere shahr mein khoe jaen
ab ke is tarah tire shahr meñ kho.e jaa.eñ
log mālūm kareñ ham khaḌe ro.e jaa.eñ
varaq-e-sañg pe tahrīr kareñ naqsh-e-murād
aur bahte hue dariyā meñ Dubo.e jaa.eñ
sūliyoñ ko mire ashkoñ se ujālā jaa.e
daaġh maqtal ke mire ḳhuun se dho.e jaa.eñ
kisī unvān chalo taaza kareñ zulm kī yaad
kyuuñ na ab phuul hī nezoñ meñ piro.e jaa.eñ
'rām' dekhe adam-ābād ke rahne vaale
be-niyāz aise ki din raat hī so.e jaa.eñ
ab ke is tarah tere shahr mein khoe jaen
log malum karen hum khaDe roe jaen
waraq-e-sang pe tahrir karen naqsh-e-murad
aur bahte hue dariya mein Duboe jaen
suliyon ko mere ashkon se ujala jae
dagh maqtal ke mere KHun se dhoe jaen
kisi unwan chalo taza karen zulm ki yaad
kyun na ab phul hi nezon mein piroe jaen
'ram' dekhe adam-abaad ke rahne wale
be-niyaz aise ki din raat hi soe jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.