ab ke junun hua to gareban ko phaD kar
ab ke junūñ huā to garebāñ ko phaaḌ kar
duniyā ko chhoḌ jā.ūñgā dāman ko jhaaḌ kar
ye aa.ina fareb-e-nazar hai bahut na dekh
ik roz tujh ko pesh karegā bigāḌ kar
mehmāñ sarā.e-jāñ meñ koī Thertā nahīñ
jab se chalā gayā use koī ujaaḌ kar
'farruḳh' havā hai tez qadam ko jamā ke rakh
varna ye pheñk degī tujhe bhī ukhāḌ kar
ab ke junun hua to gareban ko phaD kar
duniya ko chhoD jaunga daman ko jhaD kar
ye aaina fareb-e-nazar hai bahut na dekh
ek roz tujh ko pesh karega bigaD kar
mehman sarae-jaan mein koi Therta nahin
jab se chala gaya use koi ujaD kar
'farruKH' hawa hai tez qadam ko jama ke rakh
warna ye phenk degi tujhe bhi ukhaD kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.