ab ke mausam ka KHwab likh dena
ab ke mausam kā ḳhvāb likh denā
Daalī Daalī gulāb likh denā
ham ne likkhā hai chāñd sā chehra
tum use māhtāb likh denā
ḳhud ko likhnā ki pārsā huuñ maiñ
mujh ko ḳhāna-ḳharāb likh denā
zindagānī ke har varaq paḌh kar
roz-o-shab kā hisāb likh denā
irtiqā.ī uruuj kā hāsil
ḳhāna ḳhāna itaab likh denā
fikr-o-fan ke safar pe niklā huuñ
ai ḳhudā kāmyāb likh denā
jab bhī guzro sarāb se 'nashtar'
har qadam aab aab likh denā
ab ke mausam ka KHwab likh dena
Dali Dali gulab likh dena
hum ne likkha hai chand sa chehra
tum use mahtab likh dena
KHud ko likhna ki parsa hun main
mujh ko KHana-KHarab likh dena
zindagani ke har waraq paDh kar
roz-o-shab ka hisab likh dena
irtiqai uruj ka hasil
KHana KHana itab likh dena
fikr-o-fan ke safar pe nikla hun
ai KHuda kaamyab likh dena
jab bhi guzro sarab se 'nashtar'
har qadam aab aab likh dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.