ab ke phir rah nai panw ke chhaale nae the
ab ke phir raah na.ī paañv ke chhāle na.e the
chārāgar bhī the na.e dekhne vaale na.e the
us kī chāhat meñ kamī aa na sakī vaqt ke saath
muddatoñ baad bhī kapḌe jo nikāle na.e the
vaqt ke saath badaltī hai suḳhan-fahmī bhī
maiñ vahī thā pa mere chāhne vaale na.e the
maiñ ne bhī tanz kī tarkīb badal kar rakh dī
par harīfoñ ne bhī jumle jo uchhāle na.e the
in charāġhoñ ko havāoñ ne sikhāyā hai zarūr
jin kī miTTī thī vahī jin ke ujāle na.e the
muttafiq kis tarah hotā maiñ tirī bātoñ se
na dalīleñ thiiñ na.ī aur na havāle na.e the
koī manzar tirī āñkhoñ ko bhalā kyā lagtā
maiñ ne dekhā thā ki un meñ paḌe jaale na.e the
maiñ kisī se koī shikva bhī karūñ to kyoñ kar
na na.e chāñd the mahfil meñ na haale na.e the
sach ko har daur meñ suulī pe chaḌhāyā sab ne
vaqt ke haath meñ suqrāt ke pyāle na.e the
muflisī khā ga.ī ummīd ke mausam kā surūr
maiñ ne vo ḳhvāb jo āñkhoñ se nikāle na.e the
ab ke phir rah nai panw ke chhaale nae the
chaaragar bhi the nae dekhne wale nae the
us ki chahat mein kami aa na saki waqt ke sath
muddaton baad bhi kapDe jo nikale nae the
waqt ke sath badalti hai suKHan-fahmi bhi
main wahi tha pa mere chahne wale nae the
main ne bhi tanz ki tarkib badal kar rakh di
par harifon ne bhi jumle jo uchhaale nae the
in charaghon ko hawaon ne sikhaya hai zarur
jin ki miTTi thi wahi jin ke ujale nae the
muttafiq kis tarah hota main teri baaton se
na dalilen thin nai aur na hawale nae the
koi manzar teri aankhon ko bhala kya lagta
main ne dekha tha ki un mein paDe jale nae the
main kisi se koi shikwa bhi karun to kyon kar
na nae chand the mahfil mein na haale nae the
sach ko har daur mein suli pe chaDhaya sab ne
waqt ke hath mein suqraat ke pyale nae the
muflisi kha gai ummid ke mausam ka surur
main ne wo KHwab jo aankhon se nikale nae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.