ab ke socha hai ye dastur nirala rakkhun
ab ke sochā hai ye dastūr nirālā rakkhūñ
tum qarīb aao to maiñ fāsla thoḌā rakkhūñ
nit na.e uzr se tum mujh ko manā lete ho
hoñ na.e uzr to kyoñ buġhz purānā rakkhūñ
bistar-e-hijr pe hiddat se tasavvur ke jo ḳhud
mom sā pighle maiñ shab bhar vo sarāpā rakkhūñ
likhne baiThūñ jo mohabbat kā fasāna maiñ kabhī
unvāñ 'resham' ho magar zikr tumhārā rakkhūñ
ab ke socha hai ye dastur nirala rakkhun
tum qarib aao to main fasla thoDa rakkhun
nit nae uzr se tum mujh ko mana lete ho
hon nae uzr to kyon bughz purana rakkhun
bistar-e-hijr pe hiddat se tasawwur ke jo KHud
mom sa pighle main shab bhar wo sarapa rakkhun
likhne baiThun jo mohabbat ka fasana main kabhi
unwan 'resham' ho magar zikr tumhaara rakkhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.