ab ke suraj bhi yahan garche barahna utra
ab ke sūraj bhī yahāñ garche barahna utrā
merī dahlīz pe lekin na saverā utrā
pheñk kar mujh ko samundar meñ bahut achchhā kiyā
chand ġhotoñ se mire ḳhauf kā saaya utrā
mujh ko Daste rahe maazī ke sañpole har pal
merī yādoñ se na ab tak vo gharauñdā utrā
raushnī meñ to sabhī le ga.e sabqat lekin
andhe ġhāroñ meñ faqat maiñ hī akelā utrā
maiñ ki 'mansūr' thā sadiyoñ kā piyāsā shāyad
daar par chaḌh ke bhī har baar maiñ pyāsā utrā
ab ke suraj bhi yahan garche barahna utra
meri dahliz pe lekin na sawera utra
phenk kar mujh ko samundar mein bahut achchha kiya
chand ghoton se mere KHauf ka saya utra
mujh ko Daste rahe mazi ke sanpole har pal
meri yaadon se na ab tak wo gharaunda utra
raushni mein to sabhi le gae sabqat lekin
andhe ghaaron mein faqat main hi akela utra
main ki 'mansur' tha sadiyon ka piyasa shayad
dar par chaDh ke bhi har bar main pyasa utra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.