ab ke wahshat mein koi rah nikalunga main KHud
ab ke vahshat meñ koī raah nikālūñgā maiñ ḳhud
dasht vo de vahāñ dīvār banā lūñgā maiñ ḳhud
kyoñ koī mere parindoñ kī nigah-dārī kare
zaḳhm ḳhud paale haiñ to in ko sañbhālūñgā maiñ ḳhud
aap bas mujh ko mirā chaak ināyat kar deñ
apnī miTTī se koī shakl banā lūñgā maiñ ḳhud
mere ġhāsib se kaho merā ḳharāba mujhe de
ban paḌā mujh se to ye shahr basā lūñgā maiñ ḳhud
mere dushman se kaho āb-e-baqā hai to pilā.e
zahr kā kyā hai kisī roz ye khā lūñgā maiñ ḳhud
tujh se miltā koī mil jaa.e to ai jān-e-tilism
hū-bahū us ko tire jaisā banā lūñgā maiñ ḳhud
abr mushkil hai to chal sāya-e-dīvār hī de
jab chalūñgā to use saath chalā lūñgā maiñ ḳhud
log kahte haiñ mire harf-e-duā meñ hai asar
vāqa.ī hai to kabhī apnī duā lūñgā maiñ ḳhud
merī ustād hai ḳhud merī jibillat 'ahmad'
jaisī miTTī ho qadam apne jamā lūñgā maiñ ḳhud
ab ke wahshat mein koi rah nikalunga main KHud
dasht wo de wahan diwar bana lunga main KHud
kyon koi mere parindon ki nigah-dari kare
zaKHm KHud pale hain to in ko sanbhaalunga main KHud
aap bas mujh ko mera chaak inayat kar den
apni miTTi se koi shakl bana lunga main KHud
mere ghasib se kaho mera KHaraba mujhe de
ban paDa mujh se to ye shahr basa lunga main KHud
mere dushman se kaho aab-e-baqa hai to pilae
zahr ka kya hai kisi roz ye kha lunga main KHud
tujh se milta koi mil jae to ai jaan-e-tilism
hu-bahu us ko tere jaisa bana lunga main KHud
abr mushkil hai to chal saya-e-diwar hi de
jab chalunga to use sath chala lunga main KHud
log kahte hain mere harf-e-dua mein hai asar
waqai hai to kabhi apni dua lunga main KHud
meri ustad hai KHud meri jibillat 'ahmad'
jaisi miTTi ho qadam apne jama lunga main KHud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.