ab ke ye baat zehn mein Thani hai aur bas
ab ke ye baat zehn meñ Thānī hai aur bas
ham ne to apnī jaan bachānī hai aur bas
nuqsān to hamārā hai kachche gireñge ham
tum ne to ek shāḳh hilānī hai aur bas
us ne ḳharīdne haiñ ka.ī saat rañg ḳhvāb
ham ne siyāh niiñd kamānī hai aur bas
ham ne baḌe jatan se jalānā hai ik charāġh
us ne havā ko uñglī dikhānī hai aur bas
itnī sī dāstān hai kāġhaz kī naav kī
dariyā hai aur us meñ ravānī hai aur bas
ham ne kahā ki ashk lahū hai jigar kā dost
us ne kahā ki chhoḌiye paanī hai aur bas
ab ke ye baat zehn mein Thani hai aur bas
hum ne to apni jaan bachani hai aur bas
nuqsan to hamara hai kachche girenge hum
tum ne to ek shaKH hilani hai aur bas
us ne KHaridne hain kai sat rang KHwab
hum ne siyah nind kamani hai aur bas
hum ne baDe jatan se jalana hai ek charagh
us ne hawa ko ungli dikhani hai aur bas
itni si dastan hai kaghaz ki naw ki
dariya hai aur us mein rawani hai aur bas
hum ne kaha ki ashk lahu hai jigar ka dost
us ne kaha ki chhoDiye pani hai aur bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.