ab KHwahish-e-talafi-e-mafat bhi gai
ab ḳhvāhish-e-talāfī-e-māfāt bhī ga.ī
jī meñ jo thī ik baat so vo baat bhī ga.ī
afkār-e-nau-ba-nau ne kiyā vaqt rā.egāñ
kin uljhanoñ meñ fursat-e-auqāt bhī ga.ī
radd-e-savāl se nahīñ be-ḳhauf arz-e-shauq
phir baat kyā kareñge agar baat bhī ga.ī
ahvāl-e-hāl hī ko muqaddar samajh liyā
lo aaj fikr-e-gardish-e-hālāt bhī ga.ī
haiñ sub.h ke hisāb meñ aḳhtar shumāriyāñ
chamkā na āftāb to kyā raat bhī ga.ī
hai aaj ābgīna-e-ehsās chuur chuur
jaane kahāñ ravānī-e-jazbāt bhī ga.ī
vo aaj kho gayā hai 'munavvar' hujūm meñ
ummīd-e-yār bahr-e-mulāqāt bhī ga.ī
ab KHwahish-e-talafi-e-mafat bhi gai
ji mein jo thi ek baat so wo baat bhi gai
afkar-e-nau-ba-nau ne kiya waqt raegan
kin uljhanon mein fursat-e-auqat bhi gai
radd-e-sawal se nahin be-KHauf arz-e-shauq
phir baat kya karenge agar baat bhi gai
ahwal-e-haal hi ko muqaddar samajh liya
lo aaj fikr-e-gardish-e-haalat bhi gai
hain subh ke hisab mein aKHtar shumariyan
chamka na aaftab to kya raat bhi gai
hai aaj aabgina-e-ehsas chur chur
jaane kahan rawani-e-jazbaat bhi gai
wo aaj kho gaya hai 'munawwar' hujum mein
ummid-e-yar bahr-e-mulaqat bhi gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.