ab kis se shikayat ho zamane mein jafa ki
ab kis se shikāyat ho zamāne meñ jafā kī
batlāo ki duniyā ne kisī se bhī vafā kī
kuchh baat hī aisī hai ki ab chup sī lagī hai
pahle to ka.ī baar tire dar pe sadā kī
jab terī razā chāhiye har radd-e-'amal ko
phir kaun kare baat sazā aur jazā kī
gulshan meñ har ik gul ke hai chehre pe udāsī
sāzish nazar aatī hai mujhe is meñ sabā kī
ḳhush huuñ maiñ 'jamīla' ki mohabbat meñ mile zaḳhm
hājat nahīñ ab koī davā aur du'ā kī
ab kis se shikayat ho zamane mein jafa ki
batlao ki duniya ne kisi se bhi wafa ki
kuchh baat hi aisi hai ki ab chup si lagi hai
pahle to kai bar tere dar pe sada ki
jab teri raza chahiye har radd-e-'amal ko
phir kaun kare baat saza aur jaza ki
gulshan mein har ek gul ke hai chehre pe udasi
sazish nazar aati hai mujhe is mein saba ki
KHush hun main 'jamila' ki mohabbat mein mile zaKHm
hajat nahin ab koi dawa aur du'a ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.