ab kisi ko dekh kar ek samt muD jate hain hum
ab kisi ko dekh kar ek samt muD jate hain hum
Mushaf Iqbal Tausifi
MORE BYMushaf Iqbal Tausifi
ab kisī ko dekh kar ik samt muḌ jaate haiñ ham
jis se milnā chāhte haiñ us se katrāte haiñ ham
log tujh ko bevafā kahte haiñ in se kyā gila
rañg-e-duniyā dekh kar ḳhāmosh ho jaate haiñ ham
ye namī āñkhoñ kī siine kī jalan jaatī nahīñ
terī mahfil meñ bhī tanhā.ī se ghabrāte haiñ ham
muḌ ke dekhā thā to saarā shahr patthar ho gayā
lauT kar aa.e to har patthar se Takrāte haiñ ham
kyuuñ zamāne bhar kī ḳhushiyoñ se hai koī ġham 'azīz
aa.ine ke paas aao tum ko samjhāte haiñ ham
ab kisi ko dekh kar ek samt muD jate hain hum
jis se milna chahte hain us se katraate hain hum
log tujh ko bewafa kahte hain in se kya gila
rang-e-duniya dekh kar KHamosh ho jate hain hum
ye nami aankhon ki sine ki jalan jati nahin
teri mahfil mein bhi tanhai se ghabraate hain hum
muD ke dekha tha to sara shahr patthar ho gaya
lauT kar aae to har patthar se Takraate hain hum
kyun zamane bhar ki KHushiyon se hai koi gham 'aziz
aaine ke pas aao tum ko samjhate hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.