ab kisi se gila nahin koi
ab kisī se gilā nahīñ koī
apnā tere sivā nahīñ koī
ho gayā jis ko qatl honā thā
qātiloñ se sila nahīñ koī
jaane kitne hasīn milte haiñ
tere jaisī adā nahīñ koī
koī mil ke bhī mil nahīñ paayā
aur ham se judā nahīñ koī
ḳhushiyāñ yuuñ to hazār miltī haiñ
aur ġham se rihā nahīñ koī
ab kisi se gila nahin koi
apna tere siwa nahin koi
ho gaya jis ko qatl hona tha
qatilon se sila nahin koi
jaane kitne hasin milte hain
tere jaisi ada nahin koi
koi mil ke bhi mil nahin paya
aur hum se juda nahin koi
KHushiyan yun to hazar milti hain
aur gham se riha nahin koi
- Book : مٹھی بھر چاندنی (Pg. 52)
- Author : ریکھا راج ونشی
- Publication : 20دوسری منزل پٹ پڑ گنج گاؤں،نئی دہلی۔110091 (2016)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.