ab kisi se sawal kya karna
ab kisī se savāl kyā karnā
ḳhud kā jiinā muhāl kyā karnā
vasl ke chand roz behtar haiñ
hijr ke māh-o-sāl kyā karnā
jab tasavvur meñ ho tirā chehra
phir kisī kā ḳhayāl kyā karnā
jab muqaddar meñ hī judā.ī ho
āñkheñ ro ro ke laal kyā karnā
ḳhud-ġharaz ho ga.ī hai ye duniyā
ab kisī kā malāl kyā karnā
bhar diyā hai jo lams ne us ke
zaḳhm ko phir bahāl kyā karnā
ab kisi se sawal kya karna
KHud ka jina muhaal kya karna
wasl ke chand roz behtar hain
hijr ke mah-o-sal kya karna
jab tasawwur mein ho tera chehra
phir kisi ka KHayal kya karna
jab muqaddar mein hi judai ho
aankhen ro ro ke lal kya karna
KHud-gharaz ho gai hai ye duniya
ab kisi ka malal kya karna
bhar diya hai jo lams ne us ke
zaKHm ko phir bahaal kya karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.